jo aaj likha hai ,vo kal na likha jayega
jo aaj beeta hai,vo kal na fir aayega
jo aaj seekha hai,vo kal na koi sikhlayega
jo aaj socha hai, vo kal na ho payega
jo aaj jaan se pyaara hai,vo kal kissi or ka ho jayega
ja aaj tere liye gaya hai,vo kal suna b na jayega
jo aaj dost hai,vo kal do pal ke liye mil b na payega..................
toh kyun main apne aaj mein kal ko dhundoo.......
kyun nai mai aaj mei jiyo......vo kal na jaane aayega b ya na aayega......
jo aaj leekha hai ,voh kal na leekha jaayega......
jo aaj sheesha hai,voh kal toot jayega.....
jo aaj leekha hai vo sach likha hai.........
kal iss sach se tu khud hi katrayega....
jis jindagi ke liye aaj doda hai,kal na dod payega
jisse aaj chaha hai hai,kal aisi chahat nah kr payega
jisse aaj gussa hai, kal narajgi bhi na dikha payega
jisse aaj ankho me bsaya hai,kal usse aankhe churayega
jisse aaj mohabbat kehta hai,kal vo ek majak ban jayega
jo aaj beeta hai, voh kal na fir aayega
jo aaj leekha hai hai,voh kl na likha jayega.........
do dil milne ko machalte hai aaj,kal beech me sadiyo ko faasala ho jaayega
jinke didar me aaj palak bicha rkhi hai, kal unka deedar ho na payega..
jo aaj mera des hai, kl vo par des ho jaayega
jo aaj leekha ha,voh kal na leekha jayega....
Saturday, February 18, 2012
Subscribe to:
Posts (Atom)